Guftagoo

​Shikayat na aapse hai
Na kisi aur se
Yeh to guftagoo hai
Humare khuddar dil se

Qabool karta hai jo
Mohabbat ke iss dard ka
Jab sukooon milta hai use
Jaam ke har pyale ka

Nashe mein gungunata hai
Qawalli aapke haseen naam ki
Madhosh ho jati hai jab dhadkan
Yaad mein uss nashili shaam ki

Jab aankh fir se bhar aati hai
Un chand lamhon ki yaad mein
Fir se nikal padta hai
Aapki talash mein..

Comments

Popular Posts