Guftagoo
Shikayat na aapse hai Na kisi aur se Yeh to guftagoo hai Humare khuddar dil se Qabool karta hai jo Mohabbat ke iss dard ka Jab sukooon milta hai use Jaam ke har pyale ka Nashe mein gungunata hai Qawalli aapke haseen naam ki Madhosh ho jati hai jab dhadkan Yaad mein uss nashili shaam ki Jab aankh fir se bhar aati hai Un chand lamhon ki yaad mein Fir se nikal padta hai Aapki talash mein..