Hisab Baki hai Abhi

Hisab abhi hua nahi
Par Kuch toh hai pichle janam ka
Sawal yeh nahi ki tab bacha kya tha
Sawal yeh hai ki iss baar kahi reh na jaaye

Hisab baki hai abhi
Unn sawalo ka jo abhi puche nahi
Par agar iss baar bhi kahani adhuri chodni ho
Toh na kholo kitab unn baato ki

Jawab jaroor janana chahenge
Par diye toh bhi kaise pyar ka wasta
Manzil ka toh hai nahi pata
Toh kaise chalein woh rasta

Din fir bhi dhal jayega
Iss shaam ka nasha gal jayega
Gile shikwe dur honge
Jiss din ye raaz khul jayega!

Comments

Popular Posts